Showing posts with label Quotes. Show all posts
Showing posts with label Quotes. Show all posts
Friday, July 16, 2010
Monday, June 28, 2010
Thursday, June 24, 2010
Tuesday, May 4, 2010
Thursday, April 29, 2010
Quotes Of Hazrat Ali (R.A)
18 GOLDEN WORDS OF Hazrat ALI(A.S)
3 chizon ka Ahtraam kro:
3 chizon ka Ahtraam kro:
Ustaad----Waaldain---Buzurg
3 ko sath rakho:
Sachaai---Emaan---Naiki
Sachaai---Emaan---Naiki
3 chizon ko yaad rakho:
Ahsaan---Nasehat---Maut
Ahsaan---Nasehat---Maut
3 chizon k ley laro:
Watan---Izat---Haq
Watan---Izat---Haq
3 chizon pe qaabu rakho:
Zubaan---Ghussa---Nafs
Zubaan---Ghussa---Nafs
3 chizon s bacho:
Buraai---Chughli---Hasad
Buraai---Chughli---Hasad
Quotes Of Hazrat Ali (R.A)
1. Koi mumliqat Kufer ke saath to chal sakti hai magar na- insaafi ke saath nahi
2. Main ne Allah Ko apne iraadon ke totne se pehchana hai
3. Jab mere dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke Allah ne mere dua pori ki. Aur jab mere dua rad hojati hai to mujhe aur bhe ziada khushi hoti hai ke ye mere Allah ki marzi nahi.
4. Tumhari woh khamoshe jis ke baad tumsey baat karney ke khawahish paida ho jaiey,tumharey uss kalam sey behtar ha jis ke baad tumko khamosh kar diya jaey.
5. Khoobsorati kaproun sey nai ilm o adab sey hoti ha
6. har shakhash kei qeemat wo hunar ha jo uske ander ha
7. Tum Kisi Ko Chaho Or Woh Tumain Thukra Day To Yah Us Ke Bad Nasibi Hai. Or Us K Bad tum us ko Zabardasti Apnana Chaho To Yah Tumheray Nafs Ki Zillat hy.
8. Tum Gulab Ka Phool Ban Jao q kay Yah Phool Us Kay Hathoon main bhi KUSHBU chor jata hai jo issay masal k phenk deta hy.
9. Din ko rizk ki talash karo or raat ko usay talash karo jo tumhai rizk deta hy
10. Yeh zindagi 2 din ki hai 1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
11. Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay.
12. Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
13. Jub tum dunya ki muflisi se tung aajao aur rizq ka koi rasta na niklay Tu sadqa de ker ALLAH se tijarat karo.
14. Apnay dushman ko hazar mouqa do k woh tumara dost ban jaye. LEKIN apna dost ko 1 bhi moqa na do k woh tumara dushman ban jaiy.
15. Barish ka Qatra Seepi or Sanp dono kay Munah mein girta hai Jab keh Sanp ussay Zehar bana deta hai aur Seep Usay Moti. Jis ka jaisa "Zarf" waisi Uss ki "Takhleeq"
16. Duniya Tumhain Us Waqt Tak Nahi Hara Sakti Jab Tak Tum Khud Se Na Haar Jao.
17. Jo Dukh day Us se Taluq na rakho aur jis se Taluq na rakho usay dukh na do.
18. Insan Gunah Kerne Ki Waja Se Jahanum Mein Nhi Jata Bal Keh Gunah Per Mutmaen Rehny Aur Tauba Na Krney Ki Waja Se Jahanum Mein Jata Hy.
19. jo tumhain khushi mein yad aye, samjo tum us se muhabbat karte ho or jo tumhain ghum mein yad aye to samjo wo tum sa muhabbat kerta hay
20. Acha Dost Kitni Dafa he kyon na rothay usay mana lena chahyay kyon k Tasbeeh k danay kitni dafa he kyon na bikhrein ikathay ker liyay jatay hain
21. Insaan Apni Toheen Muaaf Kar Sakta Hai Bhool Nahi Sakta!
22. Kabhi Na Girna Kamaal Nahi Bal'k Gir K Sanbhal Jaana Kamaal Hai.!
23. Apne dushman ko hazaar mouqay do k woh tumhara dost ban jaye.
Lekin...Apne dost ko aik bhi mouqa na do k woh tumhara dushman ban jaye.
24. Mein baron ki izzat is liye krta hun k unki nekiyaan mujse zaida hen or choton se pyar is liye krta hun k un k gunah mujse kam hen"
25. LOGOO ko USI tarha MAAF karo jaisay TUM KHUDA say UMEED rakhtay ho k wo TUMHAY MUAAF karega.
26. "Jab main dastar khuaan par 2 rang k khane dekhta hoon,
to Laraz jata hoon! k Aaj phir kisi ka haq mara gaya hay"
27. "Khush mizaji hamesha khoobsurti ki kami ko poora kr deti hai,
Laykin ......Khoobsurti khush mizaji ki kami ko poora nahi kr sakti "
28. "Jis shakhs k ache DOST hon,
woh kabhi ghareeb nahi hota"
29. Agar tum Mout ki Raftar ko Daikh Laity to tum Zaroor Ummeedo'n Or Umango'n Sy Nafrat krty Or hrgiz in Me Maghroor Na hoty
30. insan Narazgi Khatam Karny Me Pehl Krta Hy, To is Ka Ye Matlab Nahi K Wo Galat tha is Ka Matlab Hy K Usy Anna syZyadaRishtay Aziz Hain
31. Momin Ki Aadat Hai Kay Wo Khushi Me Shukr Guzaar, Takleef Me Sabr, Aur KhushHaali Me Apne Malik Se Darta Hai
32. JAB KOHI MOMIN APNAY BHAI KO SHARMINDA KARAY TO YE US SAY JODAHI KA SABAB HO GA
33. Agar towaqul sekhna hai tu paridon se sekho, ke wo jab sham ko wapis ghar jatay hain tu unn ki chonch main kal ke leyay koi dana nahi hota .
34. Hazrat ALI(A.S) ne farmaya:- teen(3) insaan teen(3) cheezon se mahroom rehta hai..... 1-Ghussay wala Durust faisalay se..
2-Jaldbaaz Kamiyaabi se.
3-Jhoota....Izzat se...
35. Subah ki neend insaan kay iraadon ko kamzoor kar deti hai"
36. SADQE KAY ZARYE ROZI TALAB KARO
37. ." Kamyabi hoslo se milti hai Hosle dosto se milte hai Dost muqaddar se milta hai or Muqaddar insaan khud banata hai "
38. "wo gham jis k milney pr tumhara ruju ALLAH ki tarf ho jae , us khushi sa behter hay jis k milney pr tum apney KHALIQ ko bhool joa
39. Bhai or Dost men sirf itna farq hai jesay SONAY or HEERAY men......Sona chahay jitni baar toro jurr jata hai lekin agar Heera ek bar toot jaye to dobara jurr nahi pata"..
40. Jo shakhs sajdon me rota hai usay taqdeer pay rona nahi parta"
41. "Apne RAB ko na batao ke tumhari mushkil kitni bari hai....balkay apni mushkil ko batao K tumhara RAB kitna bara hai
42. Jis par ehsaan karo to us ke SHAR se bucho"
43. Ager tumhari aankh achi hai to tumko duniya achi lagay gi..lekin agar tumhari zubaan achi hai to TUM duniya ko achay lago gay..."
44. Jo tum chahte ho agar woh kam na ho to phr jis haal mein ho khush raho
45. Apne Ilm ko Jehaal aur Apne Yaqeen ko Shak se na badlo...... Jab Jan liya tou Amal kro,, Aur jab Yaqeen peda ho gya tou agey barho"..
46. Dua dastak ki tarah hai musalsal dastak se darwaza khul hi jata hai"
47. Acha dost chahe jitna bhi bura ho dosti kabhi mat torna,kyun ke paani chahe jitna bhi gunda ho jaye aag bujhane ke kaam ataa hai"
48. Khoobsurti kapron sey nahi ilm o adab sey hoti hai
49. Jab meri dua qabool hoti hai to mujhe khushi hoti hai ke ALLAH ne meri dua puri ki. Aur jab meri dua radd hojati hai to mujhe aur bhi ziyada khushi hoti hai ke ye mere ALLAH ki marzi nahi
50. Humesha such bolo taake tumhein QASAM khaane ki zaroorat na paare"
51. "Jis shaks na apna raaz kisi ko bata diya wo us ka mohtaaj ho gaya"
52. "Kabhi Apne Dost Ki Sachai Ka Imtehaan Na Lo, Kiya Pata Us Waqt Woh Majboor Ho Aur Tum Ek Acha Dost Kho Betho"
53. Allah Ne Farishto'n Ko Sirf AQAL Di Hy Magr Khawahishat Nahi De Hain. Aur Janwaroo Ko Khawahishat De Hai Magr AQAL Nahi De Hy Aur Insan Ko Ye Dono Chizain De Hain. Lihaza Jis Ki AQAL Us K Khawahish Pe Galib Aajaye Wo Farishtoo Se Behtar Hai
54. Dunyia Main Wo He Log Sarbuland Rehty Hain Jo Takabur Ke Taj Ko Dor Pheank Dety Hain
55. Koshish Karo Ke Tum Dunya Main Raho Dunya Tum Main Na Rahe Kyonki Kashti Jab Tak Paani Main Rehti Hai Khoob Terti Hai Jab Paani Kashti Main Aajata Hai To Wo Doob Jaati Hai....
56. Yeh zindagi 2 din ki hai --------
1 din tumharay haq mai aur 1 din tumharay mukhaalif
Jis din tumharay haq mai ho us din ghuroor mat kerna aur jis din tumharay mukhaalif ho us din sabr karna.
57. Tum acha karo aur zamana bura samjhay , yeh tumharay haq mai behter hai bajaye is k tum bura karo aur zamana tum ko acha samjhay
58. Lambi umeedoon se perhaiz kia karo, kyon k yeh dosri naimtoon ko Tumhari nazar mai haqeer bana deti hain aur tum unki shukar guzari nahi kertay.
59. Jab Tumhain mehsus hO k tumhari Tabiyat ko Zikr-e-KhuDa Sy Muhabat hO gae hay....To Samjho Khuda Tumhain PasanD karta hay.... (Hazrat ALi (A.S)
60. Jab main chahta hun k KHUDa sy bat karun..To main Nimaz Parhta hun..aur Jab main Chahta Hun k Khuda Mujh sy Bat karay TO me Quran Parhta hun...
61. zindagi ustad se ziada sakht hoti hai, ustad sabaq de kr imtehan leta hai aur zindagi imtehan le kr sabaq deti hai.
Monday, April 19, 2010
QUOTE of the WEEK
QUOTE of the WEEK:
"When you are kind to others, it not only changes you, it changes the world."
Harold Kushner
Remember there's no such thing as a small act of kindness.
Every act creates a ripple with no logical end.
Scott Adams
We will not be remembered by our words, but by our kind deeds.
Author Unknown
Life is made up, not of great sacrifices or duties, but of little things,
in which smiles, and kindnesses, and small obligations,
given habitually, are what win and preserve the heart and secure comfort.
Humphrey Davy
Sometimes when we are generous in small, barely detectable ways
it can change someone else's life forever.
Margaret Cho
It was only a sunny smile,
And little it cost in the giving.
But like morning light,
it scattered the night,
and made the day worth living.
F. Scott Fitzgerald
"When you are kind to others, it not only changes you, it changes the world."
Harold Kushner
Remember there's no such thing as a small act of kindness.
Every act creates a ripple with no logical end.
Scott Adams
We will not be remembered by our words, but by our kind deeds.
Author Unknown
Life is made up, not of great sacrifices or duties, but of little things,
in which smiles, and kindnesses, and small obligations,
given habitually, are what win and preserve the heart and secure comfort.
Humphrey Davy
Sometimes when we are generous in small, barely detectable ways
it can change someone else's life forever.
Margaret Cho
It was only a sunny smile,
And little it cost in the giving.
But like morning light,
it scattered the night,
and made the day worth living.
F. Scott Fitzgerald
Sunday, March 21, 2010
Subscribe to:
Posts (Atom)